dhyan dastak pe laga rahta hai aur darwaza khula rahta hai kisi malbe se nahin pur hota mere andar jo khala rahta hai khinchta hai wo lakiren kya kya aur phir un mein ghira rahta hai hum ko khamosh na jaano sahab andar ek shor bapa rahta hai mujh ko de deta hai gahre pani khud jaziron pe basa rahta hai meri tanhai ki pagdandi par mere ham-rah khuda rahta hai khak bhi rahti nahin insan ki nam patthar pe khuda rahta hai rang-o-bu bharte hain is ka pani mazbale par jo pada rahta hai qumqume rahte hain raushan 'betab' dil hi kam-bakht bujha rahta hai