koi jal mein khush hai koi jal mein mast hain sab apne apne haal mein jada-e-shamshir ho ya farsh-e-gul farq kab aaya hamari chaal mein ek aansu se kami aa jaegi ghaaliban dariyaon ke iqbaal mein shola-e-sad-rang ki si kaifiyat tujh mein hai ya tere khadd-o-khal mein ek lamha mera yar-e-ghaar hai is musibat-gah-e-mah-o-sal mein ye jo mere ji ko chain aata nahin hind mein iran mein bangal mein roz ka rona laga hai apne sath hum ne aankhen bandh lin rumal mein dida o dil ne kiya hai kaam band thap hai karobar is hadtal mein is nigah-e-naz ki ek ek baat hai hamare pir ke aqwal mein dil pe saya hai kisi sultan ka warna kya rakkha hai is kangal mein