hue jab se mohabbat-ashna hum nahin late zaban par muddaa hum saadat hai jo ban jaen jahan mein kisi majbur dil ka aasra hum chalae tir chhup-chhup kar jinhon ne karenge un ke haq mein bhi dua hum mitega dagh-e-sajda kab jabin se khuda jaane banenge kab khuda hum hamare darmiyan kyun fasle hain kabhi socha na hum ne mil ke baham khamoshi maslak-e-sahab-dilan hai kisi ko bhi nahin kahte bura hum hamari ruh naghma-khwan rahegi fana ho kar nahin honge fana hum hamein hai e'timad apni wafa par nahin karte kisi ka bhi gila hum zamana-saz nikle tum to kya hai zara si baat ko kya den hawa hum agar izzat na di ahl-e-haram ne utha laenge apna boriya hum tasawwur bhi nahin baqi khushi ka gham-e-duniya mein yun hain mubtala hum musalsal khamushi ke baad 'rifat' sar-e-maqtal hue hain lab-kusha hum