kabhi bhule-bisre jo main kahin kisi mai-kade mein chala gaya mere nam aaya hai jam agar na liya gaya na piya gaya gaya bazm-e-husn-o-jamal mein jo main shauq-e-arz-e-talab liye mere zehn-o-dil ka wo haal tha ki zaban se kuchh na kaha gaya mere nama-bar ne jo khat diya mujhe la ke jaan-e-bahaar ka hui zehn-o-dil ki wo kaifiyat na padha gaya na suna gaya ba-hazar koshish-o-justuju mera zakhm-e-dil na hua rafu lage lakh marham-e-rang-o-bu na bhara gaya na siya gaya teri be-rukhi ne diya wo gham jo kisi tarah bhi hua na kam mujhe ghun ki tarah laga raha meri zindagani ko kha gaya wo tajassus apna bhi khub tha ki talash-e-haq thi jagah jagah magar apne dil pe padi nazar to main ek lamhe mein pa gaya hai 'amir' dil mein wahi chamak jo padi thi nur ki ek jhalak wahi ek partaw-e-husn to meri zindagi ko saja gaya