did ki ek aan mein kar-e-dawam ho gaya

did ki ek aan mein kar-e-dawam ho gaya
wo bhi tamam ho gaya main bhi tamam ho gaya

ab main hun ek azab mein aur ajab azab mein
jannat-e-pur-sukut mein mujh se kalam ho gaya

aah wo aish-e-raaz-e-jaan hae wo aish-e-raaz-e-jaan
hae wo aish-e-raaz-e-jaan shahr mein aam ho gaya

rishta-e-rang-e-jaan mera nikhat-e-naz se teri
pukhta hua aur is qadar yani ki kham ho gaya

puchh na wasl ka hisab haal hai ab bahut kharab
rishta-e-jism-o-jaan ke bich jism haram ho gaya

shahr ki dastan na puchh hai ye ajib dastan
aane se shahryar ke shahr ghulam ho gaya

dil ki kahaniyan banin kucha-ba-kucha ku-ba-ku
sah ke malal-e-shahr ko shahr mein nam ho gaya

'jaun' ki tishnagi ka tha khub hi majra ki jo
mina-ba-mina mai-ba-mai jam-ba-jam ho gaya

naf-piyale ko tere dekh liya mughan ne jaan
sare hi mai-kade ka aaj kaam tamam ho gaya

us ki nigah uth gai aur mein uth ke rah gaya
meri nigah jhuk gai aur salam ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close