zabton ki aur qadron ki rawani dekhna phir hawa mein chaar-su ek bad-gumani dekhna lamha lamha phailta hi ja raha hai chaar-su shahr mein jangal ki ek din be-karani dekhna chahta hai wo mujhe khush dekhna har haal mein chhin lega mujh se meri nauha-khwani dekhna aane wali aur abhi raaten hain tarik-o-muhib aur utrengi balaen aasmani dekhna dhup niklegi to bah niklenge phir se aabshaar barf dohraegi phir apni kahani dekhna apna ghar hum ne basaya hai lab-e-dariya to phir baam-o-dar tak aaega ek roz pani dekhna aaenge 'betab' mausam phir chanaron par nae laenge rangon ki ek taza kahani dekhna