kiran kiran ye kisi dida-e-hasad mein hai har ek charagh hamara dhuen ki zad mein hai jise nikala hai hindson se zaicha-gar ne baqa hamari usi panch ke adad mein hai har ek shakhs ki qamat ko nap aur bata mere alawa yahan kaun apne qad mein hai gharon ke sahn kuchh aise sikud simat gae hain har ek shakhs makin jis tarah lahad mein hai lage hain shakhon pe jis din se phul-pat nae har ek ped haweli ka chashm-e-bad mein hai 'nabil' aise adhure hain roz-o-shab jaise mera azal kisi andesha-e-abad mein hai