hum ko to rabt-e-khas hai dar-o-rasan ke sath jine ki aarzu hai magar bankpan ke sath dil mein hamare shauq hai gham hai umid hai sahra-nawardiyan hain magar anjuman ke sath hairat se barhami ki ada dekhte rahe kitni kahaniyan thi jabin par shikan ke sath ab khairiyat kahan hai nigah-e-shuur ki uljhi hui hai zulf-e-shikan-dar-shikan ke sath mere lahu ka rang to rang-e-shafaq nahin ta-umr ye rahega tere pairahan ke sath un ke liye kahin bhi koi anjuman nahin jin ka mizaj dhalta hai har anjuman ke sath duniya mein kaun hum sa hai muhtaj-e-rahbari ghabra ke chal diye hain jo ek rahzan ke sath jo kuchh bhi hai wo jaise isi zindagi mein hai duniya barat rahe hain hum aise jatan ke sath