didani hai bahaar ka manzar zahr chhidka gaya darakhton par bun rahe hain urus-e-gul ka kafan magas-e-barg o ankabut-e-shajar chil kawwon ko takte rahiye chand taron se thak gai hai nazar jo mera takiya-e-jawani tha usi bargad ki jhuk gai hai kamar hath phaila ke chikhte hain darakht sarsar-e-hadisa ka rukh hai kidhar surkh phulon ke lal angare chashm-e-zard-e-uqab ke akhgar wo jabin-e-shafaq pe khatt-e-shua khun se kis ke surkh hai khanjar ab ke barsat kuchh to ras aai ghas ugne lagi munderon par dhup is sahn mein na dar aae band kar do tamam rauzan-e-dar raqs karte hue bagulon mein dew o jinnat o ruh ke lashkar dekhta hun ki kya dikhate hain apne sae pe jam gai hai nazar aalam-e-be-khudi mein gahra sans sina-e-kaenat mein hai safar aap apne se kyun gurezan hun kisi aaseb ka hai mujh pe asar kaun mere liye hai shab-bedar kyun baraste hain raat bhar patthar main hi main hun khala-e-tira mein na atarid na mushtari na qamar tah-ba-tah zulmaten hain jumbish mein rengte hain siyah-posh azhdar jabalushshams ki bulandi se dekhta hun zamin ko jhuk jhuk kar ek pur-nur nilgun nuqta kanpta hai khala mein rah rah kar kahkashan se shumal ki jaanib waqt ke be-nishan mehwar par nur ke daere hain gardish mein aakhir in qafilon ka rukh hai kidhar kaun aakhir jhinjhodta hai mujhe aalam-e-khwab mein sar-e-bistar kaun aakhir mujhe jagata hai aakhir shab mein roz aa aa kar na shahaba na koi tayyara kaun ud kar gaya idhar se udhar