wasl ki rut ho ki furqat ki faza mujh se hai ishq ki rah mein sab achchha bura mujh se hai ye haqiqat hai ki tujh se hai mera hona magar bandagi meri hai so tu bhi khuda mujh se hai tu to bas chhod gaya tha mere sine mein ise teri furqat ka magar zakhm hara mujh se hai mere hi hone se tari hai diwanon pe junun tere nazdik bhi ye raqs-e-hawa mujh se hai warna ek tajraba-e-did hi kafi hota meri hi aankh magar khaufzada mujh se hai main ne bakhsha hai tujhe ye gul-e-taza ka shabab ye nai khushbuen ye rang naya mujh se hai mujh se hasil tha tere jism ke dhage ko kapas kis tarah sochta hai tu ki juda mujh se hai