nikhat-o-rang na mausam ki hawa thahri hai gul ki qismat mein ba-har-haal fana thahri hai zakhm-e-dil khil uthe hanste hue phulon ki tarah ek lamhe ko jahan baad-e-saba thahri hai maut ko kahiye ilaj-e-gham-e-hasti lekin zindagi kaun se jurmon ki saza thahri hai aur mansur koi mashhad-e-hasti mein na tha laeq-e-dar jo ek meri ana thahri hai husn-e-mukhtar hai har baat rawa hai is ko fitrat-e-ishq to paband-e-wafa thahri hai koi naghma koi jhankar koi hosh-ruba dil hi bahla len tabiat jo zara thahri hai