didar ki hawas hai na shauq-e-visal hai aazad har khayal se mast-e-khayal hai kah do ye kohkan se ki marna nahin kamal mar mar ke hijr-e-yar mein jina kamal hai fatwa diya hai mufti-e-abr-e-bahaar ne tauba ka khun baada-kashon ko halal hai aankhen bata rahi hain ki jage ho raat ko in sagharon mein bu-e-sharab-e-visal hai barsao tir mujh pe magar itna jaan lo pahlu mein dil hai dil mein tumhaara khayal hai aankhen lada ke un se hum aafat mein pad gae palkon ki har zaban pe dil ka sawal hai but kah diya jo main ne to ab bolte nahin itni si baat ka tumhein itna khayal hai main daman-e-niyaz mein ashk-e-chakida hun koi utha ke dekh le uthna muhaal hai puchha jo un se jaante ho tum 'jalil' ko bole ki han wo shaer-e-nazuk-khayal hai