shauq-e-dil hasrat-e-didar se aage na badha main kabhi jalwa-gah-e-yar se aage na badha mahram-e-raaz-e-haqiqat use samjhen kyunkar ishq mein jo rasan-o-dar se aage na badha nang hai ishq mein rahat talabi ai ghafil tausan-e-umr gham-e-yar se aage na badha khuld ko hum bhi samajhte hain magar ai waiz khuld ko kucha-e-dildar se aage na badha main ne kya kya na kiya ahd-e-wafa par israr wo faqat wada-e-har-bar se aage na badha bandishen kaba ki qible ka tayyun be-kar mera sajda qadam-e-yar se aage na badha hashr mein aur bhi the mujrim-e-ulfat lekin koi bhi tere gunahgar se aage na badha zindagi apni thi ek waqfa-e-taskin-e-nafas jo kabhi waqt ki raftar se aage na badha kaam nashtar ka hai paiwast rag-e-jaan hona wo bhi to abru-e-khamdar se aage na badha kis qadar josh pe thi sahil-o-tufan ki kashish mera beda kabhi manjdhaar se aage na badha rah gae do hi qadam jal ke hazaron fitne koi fitna teri raftar se aage na badha ek do jam mein sab ho gae be-khud saqi koi bhi 'afqar'-e-mai-khwar se aage na badha