fitratan lazim hai hum par pahle pani dhundhna pyas bujh jae to phir tishna-dahani dhundhna ek-tarfa 'ishq kya hai kya hai zauq-e-sha’iri dusre ke lafzon mein apne ma'ani dhundhna koshishen karte raho lekin ye mumkin to nahin sath chalna sab ke aur apni rawani dhundhna chain se rahta hun to bechain ho uthta hai dil kis ne sikhlaya hai dil ko sakht-jaani dhundhna raat-din bas dekhte rahna kisi taswir ko raat-din khamoshiyon ki tarjumani dhundhna khud-gharaz kaise nahin hun aap hi farmaiye sab ka qissa sunna aur apni kahani dhundhna ye junun hai ya himaqat kaun batlae 'amit' qaid ho jaana makan mein la-makani dhundhna