nashat-e-nau ki talab hai na taza gham ka jigar sukun-girafta ko kaise ho zer-o-bam ka jigar agarche tishna-nigahi misal-e-sahra hai nahin hai dast-e-dua ko tere karam ka jigar jigar ko ishq ne faulad kar diya hai jab nahin raha hai sitam-kar ko sitam ka jigar hai iztirab-e-jigar lahr lahr par bhaari kahan hai bahr ko is tarah pech-o-kham ka jigar ye kaam top tapanche ke daere ka nahin futuh-e-fikr-o-nazar to hai bas qalam ka jigar hamare mathe mein rakh di hai das ki si sarisht use khuda ne diya hai kisi sanam ka jigar hamari chah mein roi hai zindagi itna ki pani pani hua ja raha hai sam ka jigar jigar ka dam hai ki gard-e-zamin se tutta hai agarche tod na paya falak bhi dam ka jigar bas 'azam' aaj to had hi khumar ne kar di kahin se ghol ke le aao tair-e-ram ka jigar