ghair apne hain kab parae hain waqt par mere kaam aae hain rah-e-hasti mein mere gam-ba-gam teri yaadon ke kitne sae hain baz auqat ye hua mahsus jitne apne hain sab parae hain hum ne bandha tasawwur-e-manzil jab qadam rah mein dagmagae hain ek tufan ashk-o-ah mein bhi hum ba-sad azm muskurae hain uf wo mauj-e-hawa-e-tufani jis ne jalte diye bujhae hain jis se ho indimal-e-zakhm-e-hayat hum wo darman le ke aae hain aaj ke daur mein siyasat ne kaise kaise ye gul khilae hain zist ki chilchilati dhup mein bhi teri zulfon ke thande sae hain un se puchhe koi baha-e-hayat dar ko chum kar jo aae hain waqt ne jin ki yaad dafna di mujh ko aksar wo yaad aae hain aaj sarkar-e-husn mein 'maghmum hum bhi chand ashk le ke aae hain