haal-e-dil sirf tumhein hum ne sunane ke liye kitne alfaz likhe sare zamane ke liye khol rakkhe hain dariche isi ummid ke sath laut aaegi hawa dip jalane ke liye us ka milna hi muqaddar mein nahin tha warna hum ne kya kuchh nahin khoya use pane ke liye jaane kab aaega wo meri mohabbat ka safir mere har khwab ki tabir batane ke liye aandhiyan barsar-e-paikar nazar aati hain meri khwahish ke charaghon ko bujhane ke liye phul se log badi dur se aae 'faizan' taj kanton ka mere sar pe sajaane ke liye