dil badalne se na aflak badal jaane se shahr badla meri poshak badal jaane se kis qadar ho gai aasan hamari mushkil ek paimana-e-idrak badal jaane se aaj bhi raqs hi karna hai ishaaron pe hamein faeda kuchh na hua chaak badal jaane se rasta ab bhi wahi hai meri manzil bhi wahi tez-rau main hua pechaak badal jaane se bhid badhne lagi hai mere bahi-khwahon ki ek zara surat-e-namnak badal jaane se nind aati thi bahut farsh-e-zamin par mujh ko khwab ruthe meri imlak badal jaane se be-watan main hun magar khush hain mere ghar wale itna hasil to hua khak badal jaane se badli badli si nazar aati hai duniya 'alam' bas mizaj-e-khas-o-khashak badal jaane se