dil mujhe kufr aashna na kare banda but ka hun main khuda na kare katti hai patang ghairon ki hum se takkal tere uda na kare sulh manzur hai agar tum ko aankh aghyar se lada na kare kyun na aanchal dupatte ka latke ho pari-zad par laga na kare hai wo but ab to mahw-e-yaktai dar khuda ka na ho to kya na kare padhe 'nadir' jo sher-e-tarz-e-jadid sun ke kyun khalq wah-wa na kare