jalwon ko baryab kiye ja rahi hun main qalb-o-nazar kharab kiye ja rahi hun main bahki hun main latif jawani ke kaif mein har chiz ko sharab kiye ja rahi hun main kitna buland hai meri tamir ka mazaq taron ko aaftab kiye ja rahi hun main kyon main gunah-e-ishq se darti hun is qadar hasti ko kyon azab kiye ja rahi hun main 'najma' nigah-e-shauq ko hadd-e-nigah tak jalwon se faiz-yab kiye ja rahi hun main