tamam khaliyon mein aksar sunai deta hai har ek jahan mein mahshar sunai deta hai jo chhu ke dekhun to gardish ki tah mein gardish hai dharun jo kan to mahwar sunai deta hai hazar milon bichhi irtiqa ki mitti par badan mein ab bhi samundar sunai deta hai lachakti raat mein sayyargan ki chap suno jo mujh mein jazb hai bahar sunai deta hai zamin phail gai hai hamari ruh talak jahan ka shor ab andar sunai deta hai zaban ke ghaar se pahunche sukut tak to ab ajib lahjon mein manzar sunai deta hai tamaddunon ke har aahang ka tazad 'riyaz' jo dur jaun to behtar sunai deta hai