dil bata aur kya hai hone ko chot khai hai main ne rone ko be-nawa khwab muntazir hain mere raat baqi kahan hai sone ko sozan-e-shauq ko shab-e-hijran sirf aansu mile pirone ko apni khushiyon mein dusron ke gham hausla chahiye samone ko nahin malum intizam hai kya daman-e-zist ke bhigone ko nikhaton ke dayar mein mujh ko aatishin gul mile pirone ko roz ummid jag jati hai gum-shuda aarzu ke khone ko kuchh to ahbab kaam aaenge kashti-e-shauq ke dubone ko fikr us ko ho jis ke pas ho kuchh kuchh nahin mere pas khone ko main hun tanhai ka samundar hai gham khade hain mujhe dubone ko aagahi sirf kaam aai 'raza' mere dagh-e-junun ke dhone ko