dil bhar aae aur abr-e-dida mein pani na ho ye zamin sahra dikhai de jo barani na ho shauq itna sahal kyun us par le jae mujhe phir palat aaun agar dariya mein tughyani na ho kan bajte hain hawa ki sitiyon par raat-bhar chaunk uthta hun ki aahat jaani-pahchani na ho ho gae be-khud to tison ka maza chhin jaega rokta hun dard ki itni farawani na ho tere hone se mere dil mein hai yaadon ki chamak chand bujh jae agar suraj mein tabani na ho dhanp le mitti se tan apna agar maqdur ho pairahan kaisa agar ehsas-e-uryani na ho ji raha hun main ki auron se bhi hai wabastagi maut aa jae agar koi pareshani na ho dal de 'shahid' shafaq par raat ki kali rida mere darwaze se zahir ghar ki virani na ho