dil bhi patthar sina patthar aankh pe patti rakkhi hai kis ne ye pani se bahar ret pe machhli rakkhi hai mana ki tamir nahin ho pai imarat rindon ki chand pe rakhne wale ki buniyaad abhi bhi rakkhi hai ye bhi anokhi baat hai yaro matlab kaise samjha jae imli ke khatte pani par shahd ki makkhi rakkhi hai kale baadal ka rishta to suraj se na-mumkin hai kali ladki ke honton par raat ki rani rakkhi hai koshish to nakaam rahi hai himmat lekin rakhta hun taq mein dipak kaise jale ab ghar mein aandhi rakkhi hai kya bolega aaj taraazu bhed abhi khul jaega ek palde mein sach rakkha hai ek mein chandi rakkhi hai