dil bichhad kar jo chala us but-e-maghrur talak dekhta main bhi gaya us ke tain dur talak jaan jawe ki na jawe rahe sar ya na rahe chhodne ke nahin hum tujh ko to maqdur talak ab nahin waqt taghaful ka sun ai yar-e-aziz pahunchiyo jald zara is dil-e-ranjur talak hum bhi tab tak hain ki yan jalwa hai jab tak tera hasti-e-saya bhi sach puchho to hai nur talak zakhm-e-dil ishq ke ghar ka to dar-e-daulat hai bhej marham ko na hamdam mere nasur talak qasid-o-nama-o-paigham ki mat kah ki saba ab to wan se nahin aati dil-e-mahjur talak mar gae din hi ko hum hijr mein sad-shukr 'hasan' kaam pahuncha na hamara shab-e-dijur talak