main soz-e-darun apna dikha bhi nahin sakta kya mujh pe guzarti hai bata bhi nahin sakta raushan hai isi se mera kashana-e-hasti is sham-e-mohabbat ko bujha bhi nahin sakta hai bar-e-samaat use izhaar-e-tamanna ye haal-e-zabun us ko suna bhi nahin sakta zinda hai zamir apna abhi, samne us ke apna sar-e-taslim jhuka bhi nahin sakta had hoti hai ek naz uthane ki kisi ke ye bar-e-garan ab main utha bhi nahin sakta is haal mein kab tak yunhi ghut ghut ke jiyunga rutha hai wo aise ki mana bhi nahin sakta tha ghair jise apna samajhta tha bahi-khwah ab mahfil-e-yaran wo saja bhi nahin sakta nafiz hai zaban-bandi ka dastur abhi tak kya dil pe guzarti hai bata bhi nahin sakta har waqt tasawwur mein hai jo azmat-e-rafta khoya hua eazaz wo pa bhi nahin sakta khwabon mein hasin taj-mahal karta hai tamir apne liye ek ghar jo bana bhi nahin sakta kyun nind udata hai wo 'barqi' ki ab us se wo wada-e-farda jo nibha bhi nahin sakta