dil chura le gai duzdida-nazar dekh liya hum na kahte the ki us chor ne ghar dekh liya banda-parwar gham-e-furqat ka asar dekh liya dagh-e-dil dekh liya dagh-e-jigar dekh liya qad bhi kam umr bhi kam mashq-e-sitam aur bhi kam kar chuke qatl mujhe jaiye ghar dekh liya shikwe ke sath lagawat bhi chali jati hai jab kiya kuchh to kanakhiyon se idhar dekh liya dad-khwahon pe nai hashr mein aafat aai saf ki saf lot gai us ne jidhar dekh liya qatl-e-ushshaq pe lo aur uthao khanjar jhuk gai bar-e-nazakat se kamar dekh liya na chhuta tum se ye mai-khane ka rasta 'bekhud' munh chhupae hue jate ho kidhar dekh liya