mere bhi kuchh gile the magar raat ho gai kuchh tum bhi ki rahe the magar raat ho gai duniya se dur apne barabar khade rahe khwabon mein jagte the magar raat ho gai aasab sun rahe the thakawat ki guftugu uljhan thi masale the magar raat ho gai aankhon ki raushni mein andhere bikhar gae kheme se kuchh jale the magar raat ho gai ai dil ai mere dil ye suna hai ki sham ko ghar se wo chal pade the magar raat ho gai aisi bhi kya wafa ki kahani thi ro pade kuchh silsile chale the magar raat ho gai kuchh zine ikhityar ke chadhne laga tha main kuchh wo utar rahe the magar raat ho gai dushman ki dosti ne masafat samet li qadmon mein raste the magar raat ho gai 'sahil' fareb-e-fikr hai duniya ki dastan kuchh raaz khul chale the magar raat ho gai