un ko hai e'tidal mujhe intiha pasand un ki juda pasand hai meri juda pasand jaur-o-jafa pasand hai sharm-o-haya pasand kafir ada ki hai mujhe ek ek ada pasand un ka mizaj aur hai mera mazaq aur in ko jafa pasand hai mujh ko wafa pasand kya khub hai ye waqt ki raftar dekhiye karte hain mai-kade ko bhi ab parsa pasand rakhte hain do-jahan mein wahi zindagi ka haq badh kar hayat se bhi hai jin ko qaza pasand manzil se dur jada-e-manzil se dur hai kis baat par karen tujhe ai rahnuma pasand 'jaanbaz' kyun ayan na hon gul-kariyan teri mushkil zamin hai jab tujhe ai khush-nawa pasand