dur tak bas ek dhundalka gard-e-tanhai ka tha raston ko ranj meri aabla-pai ka tha fasl-e-gul rukhsat hui to wahshaten bhi mit gain hat gaya saya jo ek aaseb-e-sahrai ka tha tod hi dala samundar ne tilism-e-khud-sari zom kya kya sahilon ko apni pahnai ka tha aur mubham ho gaya paiham mulaqaton ke sath wo jo ek mauhum sa rishta shanasai ka tha khak ban kar pattiyan mauj-e-hawa se ja milin der se 'akbar' gulon par qarz purwai ka tha