dil-dadgan-e-husn se parda na chahiye dil le ke chhup gae tumhein aisa na chahiye dil kaam ka nahin to na lo jaan nazr hai itni zara si baat pe jhagda na chahiye zahid to bakhshe jaen gunahgar munh taken ai rahmat-e-khuda tujhe aisa na chahiye ai dil sada usi ki taraf sar jhuka rahe kaba wahi hai ghair ka sajda na chahiye kaba samajh ke dair mein 'muztar' basar karo wo har jagah hai ab kahin jaana na chahiye