jis ko chaha tha na paya jo na chaha tha mila bakhshishen hain be-hisab us ki hamein kya kya mila ajnabi chehron mein phir ek aashna chehra mila phir mujhe us ke talluq se pata apna mila is chaman mein phul ki surat raha main chaak-dil is chaman mein shabnam-asa main sada pyasa mila phir qadam uthne lage hain shahr-e-na-pursan ki samt mere pa-e-shauq ko to ek hi rasta mila dekh kar us ko bhala phir kis ko dekha jae hai majma-e-aghyar mein bhi us se main tanha mila yun hua rukhsat rahi baqi na milne ki umid yun mila wo jaise muddat ka koi bichhda mila