jazb hota ja raha hai dil mein dard-e-la-ilaj kya isi marham se hona tai hai duniya ka ilaj thi yahi ummid bhi aur chaara-gar ne bhi kaha aap kab ke mar chuke hain aap ka kaisa ilaj dil ko na-manzur thi taswir si jhuti dawa tai hua tark-e-talluq hijr ka pahla ilaj khud-kushi ka faisla ye soch kar hum ne kiya kaun karta zindagi ka maut se achchha ilaj al-madad ai raqs-e-wahshat aaj mar jaenge hum ai junun is be-sabab tanhai ke tanha ilaj