kaha aghyar ka haq mein mere manzur mat kijo mujhe nazdik se apne kabhu tu dur mat kijo hue sang-e-jafa se shisha-e-dil ke kai tukde bas ab is se ziyaada aur chaknachur mat kijo mere marham-guzar us shokh-e-be-parwa se ye kahiyo ki zalim zakhm taza hai use nasur mat kijo haqarat apne aashiq ki nahin mashuq ko bhati 'bayan' sai apni ruswai mein ta maqdur mat kijo kaha tha sar-ban ke kan mein laila ne aahista ki majnun ki kharabi ka kahin mazkur mat kijo