dil dukhana tumhaari fitrat hai

dil dukhana tumhaari fitrat hai
chot khana hamari aadat hai

mujh ko yunhi kharab hona tha
be-sabab tum ko kyun nadamat hai

jhank kar ek bar aankhon mein
khud hi padh lo jo dil ki haalat hai

rah-e-ulfat mein jaan de dena
is se badh kar koi shahadat hai

teri furqat ho ya teri qurbat
ek dozakh hai ek jannat hai

tum ne dekha hai aise jalwon ko
kis liye mujh se phir shikayat hai

is bharose gunah karta hun
bakhsh dena tumhaari fitrat hai

su-e-mai-khana uth chale hain qadam
jaise ye bhi koi ibaadat hai

zindagi ko sambhaal kar rakhna
ek be-dard ki amanat hai

dard hi dard jis ke sheron mein
aur hai kaun sirf 'hairat' hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close