dosto waqt hai phir zakhm-e-jigar taza karen parda jumbish mein hai phir aao nazar taza karen ta-kuja nala-e-ghurbat ki chali baad-e-shimal dil mein phir zamzama-e-azm-e-safar taza karen aao phir dhum se ho aaj ghurub aur tulu sunnat-e-bandagi-e-shams-o-qamar taza karen aao chal kar rukh-e-na-shusta ko dekhen dam-e-subh mauj-e-rang-e-ufuq o nur-e-sahar taza karen kulah-e-faqr ko kaj kar ke sar-e-bazm-e-nashat aao rasm-e-kohn-e-taj-o-kamar taza karen aao phir jalwa-e-jaanan pe luta den kaunain shughl-e-parina-e-arbab-e-nazar taza karen tabaq-e-zar mein laga kar pa-e-nazar-e-jaanan aao phir aabru-e-lal-o-guhar taza karen aao phir 'josh' ko de kar laqab-e-shah-e-sukhan dil-o-din-e-sukhan o jaan-e-hunar taza karen