dil-e-barbaad ko aabaad kiya hai main ne aaj muddat mein tumhein yaad kiya hai main ne zauq-e-parwaz-e-tab-o-tab ata farma kar said ko laiq-e-sayyaad kiya hai main ne talkhi-e-daur-e-guzishta ka tasawwur kar ke dil ko phir mail-e-fariyaad kiya hai main ne aaj is soz-e-tasawwur ki khushi mein ai dost tair-e-sabr ko aazad kiya hai main ne ho ke israr-e-gham-e-taza se majbur-e-fughan chashm ko ashk-e-tar imdad kiya hai main ne tum jise kahte the hangama-pasandi meri phir wahi tarz-e-gham ijad kiya hai main ne phir gawara hai mujhe ishq ki har ek mushkil taza phir shewa-e-farhad kiya hai main ne