tu na aaega mujhe jab se yaqin aa gaya hai aasman jaise mera zer-e-zamin aa gaya hai jis ke milne ko masafat thi kai barson ki ek hi pal mein wo ham-zad yahin aa gaya hai nikhra nikhra sa hai har sher ghazal ka meri soch mein jab se tasawwur wo hasin aa gaya hai har taraf tanz ke nashtar hain hamari jaanib kis ke hathon mein mera din-e-mubin aa gaya hai aa gaya kaam mere roz ka rona dhona jo na aata tha kabhi mere qarin aa gaya hai gardish-e-waqt tali ek hi lamhe ko yunhi rukh pe zulfon ko bikhere wo hasin aa gaya hai sehn-e-gulshan mein sarasimgi kaisi hai 'nabil' ahl-e-gulshan mein koi dasht-nashin aa gaya hai