dil-e-barbaad ko chhota sa makan bhi dega jab naya zakhm bharega to nishan bhi dega pahle guzrunga main ummid o yaqin ki rah se phir tera pyar mujhe wahm-o-guman bhi dega paikar-e-rang jo pal bhar mein bikhar jaega jagti aankhon ko khwabon ka jahan bhi dega tum jalana mujhe chaho to jala do lekin nakhl-e-taza jo jalega to dhuan bhi dega waqt deta hai jinhen aaj khilaune 'akhtar' unhin atfal ko kal tir-o-sinan bhi dega