ghar se chikhen uth rahi thin aur main jaga na tha itni gahri nind to pahle kabhi soya na tha nashsha-e-awargi jab kam hua to ye khula koi bhi rasta mere ghar ki taraf jata na tha kya gila ek dusre se bewafai ka karen hum ne hi ek dusre ko thik se samjha na tha gul na the jis mein wo gulshan bhi tha jangal ki tarah ghar wo qabristan tha jis mein koi bachcha na tha aasman par tha khuda tanha magar 'arif-shafiq' is zamin par koi bhi meri tarah tanha na tha