dil-e-barbaad par bijli gira do usi andaz se phir muskura do hijab andar hijab aakhir kahan tak khudara ab to sab parde utha do jahan-e-be-khudi mein kho gaya hun jo mumkin ho mujhe mujh se mila do mai-o-mina se us ko wasta kya jise tum apni aankhon se pila do jise ho naz apne zabt-e-dil par hamari dastan-e-gham suna do taqaza hai ye un jalwon ka 'makhmur' kahin dil aur kahin tum sar jhuka do