gham-e-ishq ko aazmana padega unhen rabt-e-ulfat badhana padega dar-e-yar kaba nahin phir bhi zahid dar-e-yar par sar jhukana padega nishan us ka milna to mushkil nahin hai magar naqsh-e-hasti mitana padega yahi hai agar mera zauq-e-nazara sar-e-tur phir tum ko aana padega sar-e-hashr daman pakad kar kisi ka kahunga mujhe bakhshwana padega ye kahti hai 'makhmur' un ki mohabbat mere samne sar jhukana padega