dil ko husn-e-gham-e-jaanan se farozan kar den kufr mein rang bharen aisa ki iman kar den ye haqiqat hai ki zid par agar aa jaen to hum apni surat se teri shakl numayan kar den jaane wale ba-khushi jaen magar arz ye hai chalte chalte mere jine ke bhi saman kar den inkishafat-e-mohabbat mein rahe kyon uljhan lao shiraaza-e-hasti ko pareshan kar den phir mere haal pe sarkar tabassum farmaen phir mere dil ko zara barq-badaman kar den kyon kisi aur ka mamnun-e-karam ho 'makhmur' aap ne dard diya aap hi darman kar den