dil-e-be-muddaa hai aur main hun magar lab par dua hai aur main hun na saqi hai na ab wo shai hai baqi mera daur aa gaya hai aur main hun udhar duniya hai aur duniya ke bande idhar mera khuda hai aur main hun koi pursan nahin pir-e-mughan ka faqat meri wafa hai aur main hun abhi miad baqi hai sitam ki mohabbat ki saza hai aur main hun na puchho haal mera kuchh na puchho ki taslim o raza hai aur main hun ye tul-e-umr na-maqul o be-kaif buzurgon ki dua hai aur main hun lahu ke ghunt pina aur jina musalsal ek maza hai aur main hun 'hafiz' aisi falakat ke dinon mein faqat shukr-e-khuda hai aur main hun