dil se tera khayal na jae to kya karun main kya karun koi na batae to kya karun ummid-e-dil-nashin sahi duniya hasin sahi tere baghair kuchh bhi na bhae to kya karun dil ko khuda ki yaad tale bhi daba chuka kam-bakht phir bhi chain na pae to kya karun din ho ki raat ek mulaqat ki hai baat itni si baat bhi na ban aae to kya karun jo kuchh bana diya hai tere intizar ne! ab sochta hun tu idhar aae to kya karun dida-waran-e-but-kada ek mashwara to do kaba jhalak yahan bhi dikhae to kya karun apni nafi to falsafi-ji qatl-e-nafs hai kahiye koi ye jurm sujhae to kya karun ye hae hae mazhaka-angez hai to ho dil se uthe zaban jalae to kya karun main kya karun main kya karun gardan ban gai main kya karun koi na batae to kya karun akhbar se meri khabar-e-marg ai 'hafiz' mera hi dost padh ke sunae to kya karun