dur se aankhen dikhati hai nai duniya mujhe gulshan-e-hasti nazar aata hai ek sahra mujhe aql ki wadi mein hun gum-karda-e-maqsud-e-ishq dhundhta hun aur nahin milta koi rasta mujhe ye bhi ek dhoka tha nairang-e-tilism-e-aql ka apni hasti par bhi hasti ka hua dhoka mujhe shauq mera talib-e-didar ho jata agar dekhta 'musa' mujhe sina mujhe jalwa mujhe shaeri kya kafsh-e-bardar-e-girami hun 'hafiz' be-kamali ke siwa koi nahin dawa mujhe