hain kashmakash mein aaj teri dastan se hum ai dil shurua karen ye hikayat kahan se hum tera khulus teri mohabbat teri nazar kis tarah chhin laen mah-o-kahkashan se hum nazan hai koi apne taghaful pe marhaba majbur ho rahe dil-e-naz-dan se hum josh-e-junun ne tham liya hai khulus hai guzre qadam qadam pe nae imtihan se hum qaht-e-wafa mein walwala-e-jaan fana hua kya bad-guman hain aaj kisi raazdan se hum ye to khizan-nasib bahaaron se puchhiye wabasta-e-khulus rahe gulistan se hum mahsus ho raha hai ki manzil qarib hai kuchh dur ja chuke hain faza-e-jahan se hum uf wusat-e-nigah-e-takhayyul na puchhiye so aasman-buland hain is aasman se hum ye dastan-e-gham hi mata-e-'aziz' hai duniya basa rahe hain gham-e-jawedan se hum