dil un ka hai kuchh aur to hai un ki zaban aur karta hun yaqin jitna main badhta hai guman aur manzil ka junun hai to har ek gam hai manzil mitta hai nishan aur ka to milta hai nishan aur parwane ke matam mein bujhi shama ye kah kar tere liye hazir hai ye thoda sa dhuan aur pur-dard jo dil mein unhen roko na fughan se hote hain ye khamosh to karte hain fughan aur yarab ye suna hai wo samajhte nahin urdu de aur dil un ko jo na de mujh ko zaban aur hota hai fuzun yas mein soz-e-gham-e-ulfat bujhta hai to hota hai ye dil shoala-fishan aur apnon hi se tum ishq mein ghabra gae sahab is rah mein hail hain abhi sang-e-garan aur duniya mein to mamnua hai jannat mein hai jaez kya baat hai waiz ki yahan aur wahan aur hoti hai zaban band to kya kuchh nahin kahti rukti hai ye talwar to hoti hai rawan aur asnam-tarashi bhi badi chiz hai lekin hai nazuki-e-kargah-e-shisha-garan aur kahne ko to ai 'arsh' sukhan-sanj hain hum bhi haq ye hai ki 'ghaalib' ka hai andaz-e-bayan aur