hai ghazal mein jo meri midhat-e-rukhsar bahut apna matla bhi hua matla-e-anwar bahut husn wale na hon kyon dil ke talabgar bahut jins achchhi ho to milte hain kharidar bahut naqd-e-jaan tak liye aate hain kharidar bahut auj par husn ki hai garmi-e-bazar bahut kyon na mashur kare sehr-bayani un ki phul jhadte hain dahan se dam-e-guftar bahut aap apna koi wada to wafa karte nahin mujh se ulfat ka liya karte hain iqrar bahut farsh-o-baalin ka ye saman kahan se laen wahshiyon ke liye hai saya-e-diwar bahut manzil-e-ishq-o-mohabbat hai nihayat dushwar thokaren khate hain is rah mein hushiyar bahut wasl ki baat tawajjoh se wo sunte hi nahin un ka iqrar hai kam aur hai inkar bahut daman un ka kabhi aaluda-e-isyan na hua phir bhi nadim rahe na-karda gunahgar bahut