dil-e-na-subur ko phir wahi but-e-bewafa ki talash hai gham-e-ibtida to utha chuka gham-e-intiha ki talash hai kisi be-wafa ka gila bhi hai kisi ba-wafa ki talash hai ye fareb-e-shauq ki dil ko phir kisi aashna ki talash hai tera gham hi gham rahe umr-bhar tere gham mein khud ko fana karun mujhe ibtida-e-shuur se isi intiha ki talash hai ye wo jins hai ki jahan mein jo na bik sake jo na mil sake tujhe kyun wafa ka junun hai tujhe kyun wafa ki talash hai jo mile bhi khizr to ab kahun ki salam aab-e-hayat ko na wo dil ko zauq-e-talab raha na wo rahnuma ki talash hai dil na-saza ko ye chahta hun ki chah mein kahin dal dun use hai gunah ki justuju to mujhe saza ki talash hai nae hausle nae walwale meri justuju mein mudam hain mujhe intiha-e-talash mein bhi to ibtida ki talash hai tere is ilaj mein dam nahin teri bas ka rog ye gham nahin mere dard ke liye chaaragar tujhe kyun dawa ki talash hai mujhe justuju hai junun ki mujhe be-khudi ki hai aarzu mere karwan-e-hayat ko kisi rahnuma ki talash hai tere sath hai tere pas hai na juda samajh wo juda nahin ye khudi ka parda utha ke dekh agar han khuda ki talash hai ye hai hashr-e-'khushtar'-e-na-tawan yahan nafsi-nafsi ka hai saman mujhe ab hujum-e-gunah mein shah-e-dosara ki talash hai